Saturday 16 July 2016

Facebook par Strong password kese lgae.

Internet Par Badh Rahi Hacking Ki Wajah Se Aam Aadmi Ka Internet Par Safe Rahna Bahut Hi Muskil Ho Gya Hai Or Social Networking Sites Or Online Sites Par Account Ko Hackers Se Bachana Bahut Hi Muskil Hai, Facebook Or Twitter Par Bahut Sare Account Rojana Hack Ho Rahe Hai
Kaise Password Use Nhi Kre:



Me Aapko Bata Raha Hu Ki Week Password Use Nhi Karna Chahiye Or Aapke Dwara Lagaya Normal Password Aasani Se Hacker Chura Sakte Hai Yeh Batoon Ka Dyan Rakhe..
• Kabhi Aapne Name Or Mobile No. Ko Aapna Password Nhi Bnaye,
• Kabhi Dictionary Sabad Ko Password Na Set Kre,
• Esha Password Bhi Na Rakhe Jo Aap Khud Bhul Jaye
•  Chota Password Nhi Rakhe Password 8 Text Se Lamba Ho.
• Ager Aapke Alag Alag Account Hai Or Sabhi Ke Password Same Hai To Aap Aasani Se Hack Ho Sakte Ho.




Strong Password Kaise Bnaye 7 Most Wanted Tips
1. Password Lamba Ho
Aapne Password Ko Kam Se Kam 8 Text Se Lamba Rakhe Kyuki Aapka Password Jitna Lamba Hoga Utna Hi Jayada Safe Hoga Kyuki Lamba Password Hackers Ki Najar Me Aasani Se Nhi Aata.
2. Coding Password Use Kre
Aap Movie To Dekhte Hi Or Hoge Movies Me Kis Tarah Document Safe Rakhne Ke Liye Coding Me Password Lagaye Jate Hai Usi Tarah Aap Bhi Ek Unique Password Bna Sakte Hai.
3. Pattern Use Kre
Aapne Password Ko Yaad Rakhne Ke Liye Kahi Likhe Nhi Or Use Pattern Ke Rup Me Uaad Rakhe Ya Kahi Secret Diary Ya Kahi Likh Kar Rakkh De Jisse Aapka Password Safe Rahega,
4. Name, Mobile Number Or Personal Info Ko Password Na Bnaye
Ek Bat Ka Dyan Rakhe Ki Aapne Name, Date Of Birth Or Personal Chizo Ko Aapne Password Ka Hissa Na Bnaye Kyuki Hacker Aapki Har Ek Activity Par Nazar Rakh Sakta Hai Or Aap Aasani Se Uska Sikhar Ban Jayege,
5. Sabhi Account Me Alag Alag Password Lagaye
Aapke Ek Se Jayada Account Hai Or Sabhi Ke Passwords Same Hai To Aap Bahut Aasani Se Hack Ho Sakte Hai Ager Aapke Virodhi Ko Aapke Ek Account Ka Password Mil Jata Hai To Aapke Sare Account Hack Hone Ke Chances 70% Ho Jate Hai Isliye Is Bat Ka Dayan Rakhe,
6. Special Character Ka Use Kre
Ab Internet Par Safe Rahne Ke Liye Ek New Feature Diya Gya Hai Jisme Hum Special Character Me Bhi Aapna Password Likh Sakte Hai.
Is Tarah Ke Password Ko Hack Nhi Kiya Jaa Sakta  Or Aap Hackers Se Aapna Bachav Kar Sakte Hai
7. Password Generator Tool Ka Istemal Kre
Din Dino Hacking Badh Rahi Hai Or Isse Bachne Ke Liye Yeh Post Aapke Bahut Kaam Aayega Or Aap Safe Internet User Ban Kar Rah Sakte Hai To Dosto Kaisi Lagi Yeh Information Ager Aapko Achi Lagi To Share Jarur Kar De Thanks :) Visit Karne Ke Liye Ager Aapka Koi Sujav Hai To Comment Kre..

0 comments:

Post a Comment