Wednesday 27 July 2016

How To Change System Fonts In Android Device

Aap Sab Jante Hi Hai Ki OS Me Mobile Or Teblets Ke Liye Android Hi Sabse Acha OS Hai Yeh Hame Bahut Acche Ache Features Deta Hai Par Aaj Bhi Aap Aapne Device Me Simple Fonts Ka Istemaal Kar Rahe Hai Par Aaj Me Aapko Is Article Me Batauga Ki Kis Tarah Se Hum Aapne Android Device Ka System Fonts Ko Badal Kar Stylish Font Istemaal Kar Sakte Hai

Waise Bhi Jab Aap Rojana Aapne Mobile Ke Bor Kar Dene Wale Simple Fonts Ko Dekhte Hai To Jarur Sochte Hoge Ki Kis Tarah Se Hum Inhe Badal Pate Or Inki Jagah Par Cool Or Stylish Font Set Kar Pate, Waise Samsung Me Font Change Karne Ka Option Hota Hai Baki Device Me Nhi Hota Ager Aapko Aapne Android Device Ko New Look Dena Hai Too Aapko Yeh Article Ko Pure Carefully Padhna Hoga.

REQUIREMENTS

Me Aapko Bata Du Ki Aapko Aapne System Font Badlne Ke Liye Kis Kis Ki Jarurat Hogi

• Rooted Android Device
• Ifont Android App
• Android Ke Bare Me Basic Jankari

HOW TO CHANGE SYSTEM FONTS IN ANDROID DEVICE

Ab Me Aapko Niche Steps Se Batauga Ki Aap Kis Tarah Se Aapne Mobile Phone Ke Fonts Badal Sakte Hai Or Me Aapko Yeh Bhi Bata Du Ki Yeh Koi Risky Trick Nhi Hai

Step-1 Sabse Pahle Aapne Android Device Ko "Root" Kar Le Or Me Aapko Bata Du Root Karna Bahut Hi Aasan Hai Yeh Kaam Ho Jane Ke Bad Aap Unroot Bhi Kar Sakte Hai
Yeh Padho — How To Root Android

Step-2 Root Ho Jane Ke Bad Aap Playstore Se "I font" App Download Kar Le

Step-3 Ab IFont App Download Ho Jane Ke Bad App Ko Open Kare Ab Aapke Samne "Font List" Aayegi Waha Se Aapni Pasand Ke Font Par Click Kare

Step-4 Ab Aapke Samne Uss Font Ko Download Karne Ka Option Aayega, Aap Download Kar Le

Step-5 Download Ho Jane Ke Bad "Set" Par Click Kare

Step-6 Ab Root Ka Ek Pop-up Window Khulega Ussko "Allow" Karo

Ab 5 Second Bad Aapka System Font Change Ho Jayga Or Ab Aap Ifont Or Root Application Ko Uninstall Kar Sakte Hai Yeh Koi Risky Work Nhi Hai Dayan Rakhe Ki Font Aapne Acha Choose Kiya Hai Kabhi Kabhi Esha Hota Hai Kuch Log "Chinese Font" Set Kar Dete Hai Or Bad Me Unhe Dikkat Hoti Hai Isliye Aapne Font Ko Ache Se Chunne Or Enjoy Kare

Mujhe Umeed Hai Aapko Yeh Article Jarur Pasand Aaya Hoga Ise To Ise Aapne Friends Ko Share Kare Or Comments Bhi Kare..

0 comments:

Post a Comment